Bajuz huwa koi jane na silslay tere
Main ajnabi hon karon kis se tazkre tere
Ye kesa qurb ka mosam hai Ai nigar-e-chaman
Hawa main rang na khushbo main zaiqay tere
Main thik se teri chahat tujhe jata na saka
Kay meri rah main hail the masle tere
Kahan se laon main tera aks ankhon main
Ye log dekhne aate hain aaeene tere
Guloon ko zakhm, sitaron ko apne ashk kahon
Sunaon khud ko tere bad tabsre tere
Ye dard kam to nhi hai k tu humain na mila
Ye or bat k hum bhi na ho sake tere
Judaiyon ka tasawur rula gaya tujh ko
Chirag sham se pehle hi bujh gai tere
Hazar neend jalaon tere bager magar main
Khawab main bhi na dekhon wo ratjagay tere
Hawai mosam-e-gul ki hain loriyan
Jese bikhar gai hon fizaon mian kahkiye tere
Kisse khabar k hamain ab bhi yad hain Muhsin
Wo karwatain shab-e-gham ki wo hosle tere
Mohsin naqvi
0 Comments